Friday, March 17, 2017

Ramayan

Suvarna mrig ki pukar hai.
Dashrath ka vaada nibhana hai;
Maine bhi Shravan ko maara tha kabhi
Viyog ka dukh uthana hai.
Laxman ki rekha ko kitni bar
Maine laangha hai undekha kar,
Kabhi bhiksha dene ke liye
To kabhi Ravan bankar.
Kaikeyi ka kaan diya Bhagwan tune
Isse to surpanakha ki naak deta
Mantra ke irsha se behtar main,
Prem mein ghayal hota
Isiliye, 
Gum na kar khaanaabdosh,
Jo haath na aaya tere mrig.
Pakad bhi leta to milti,
Bas mareech ki cheekh.

No comments:

Post a Comment