Aaj bahut dino baad ek iccha jagi hai,
Is choukhat ke bahar jaane ka mouka hua hai.
Woh resham ka kurta khoob jachega aaj;
Wahi jiska bhoora rang tumhari aankhon se milta tha.
Bahut din baad yeh ghadi pehni hai to aaya yaad
Kitne arse beet gaye hai tumse milke aaj.
Kaapte haathon se baalon ko savaara hai phir,
Man-mouji, mastane; tumhara sehalana yaad hai unhe.
Bas ek aur cheez karna baki hai ab -
Us teepay par rakhi ek sheeshi mein tumhari khushboo hai.
Use thoda chidakh loo, mehekti ek aakhri saans loo.
Phir aankhen band kar loon kuch pal, aur tumse milne nikloo.
Kyonki aaj is choukhat ke bahar jaane ka mouka hua hai,
Apne janaaze mein mujhe rone ki wajah nahi hai.